aiman ka nur agar hai to mere watan mein hai
ab tak bhi shan-e-tur isi ujDe chaman mein hai
donon hain teri yaad mein aaluda-e-gharaz
jo aib shaiKH mein hai wahi barhaman mein hai
lipTa hua hai daur-e-KHizan bhi bahaar se
donon ka rang lala-e-KHunin-kafan mein hai
kyun dil mein DhunDte ho shagufta-mizajiyan
pahli si ab bahaar kahan is chaman mein hai
zarre chamak rahe hain teri rahguzar ke
hai tera naqsh-e-pa ki charagh anjuman mein hai
nakaam hasraton ki yahi to hai yaadgar
daghon ka jo hujum dil-e-pur-mehan mein hai
ye bhi KHabar hai gauhar-e-maqsad nahin yahan
dil tera phir bhi gharq furaat-o-jaman mein hai
azm-e-safar bahaar mein ai 'arsh' kis liye
duniya ki har bahaar bahaar-e-watan mein hai
Nazm
Mera watan
Arsh Malsiyani