dewtaon ne mujh se kaha tha ki jab
chandr-maon ke aainon par gard jam jaegi
aur suraj samundar ki gahraiyon mein utar jaenge
tab har ek rang kalak mein tabdil ho jaega
rasta rasta andhere bikhar jaenge
aur tum ko hawa ban ke chup-chap
andhe safar par nikalna paDega
hazaron baras
maut ki wadiyon mein bhaTakna paDega
mera jurm ye hai ki main aise suraj se paida hua
jis ki taqdir mein ek pal ka
faqat ek pal ka ujala likha hai
mera jurm ye hai: ki main is tamashe mein laya gaya
aaKHiri aadmi hun
Nazm
Mera jurm
Kumar Pashi