gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
chehron pe KHak dhul ke ponchhe hue nishan
tu aur rang-e-ghaza-o-gulguna-o-shahab
socha bhi kis ke KHun ki banti hain surKHiyan
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
maile phaTe libas hain mahrum-e-shast-o-shu
tu aur itr o ambar o mushk o abir o ud
mazdur ke bhi KHun ki aati hai is mein bu
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
tan Dhankne ko Thik se kapDa nahin hai pas
tu aur harir o atlas o kam-KHwab o parniyan
chubhta nahin badan pe tere reshmi libas
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
chandi ka koi ganjh na sone ka koi tar
tu aur haikal-e-zar o aaweza-e-guhar
sine pe koi dam bhi dhaDakta hai tera haar
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
sadiyon se har nigah hai faqon ki rahguzar
tu aur ziyafaton mein ba-sad-naz jalwa-gar
kis ke lahu se garm hai ye mez ki bahaar
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
tarik maqbaron se makan in ke kam nahin
tu aur zeb-o-zinat-e-alwan-e-zar-nigar
kya tere qasr-e-naz ki hilti nahin zamin
gulnar dekhti hai ye mazdur aurten
mehnat hi un ka saz hai mehnat hi un ka rag
tu aur shughl-e-ramish-o-raqs-o-rabab-o-rang
kya tere saz mein bhi dahakti hai koi aag
gulnar dekhti hain ye mazdur aurten
mehnat pe apne peT se majbur aurten
Nazm
Mazdur aurten
Jaan Nisar Akhtar