اردو हिंदी
Maut mujh par bar-haq nahin | Shaahi Shayari
maut mujh par bar-haq nahin

Nazm

Maut mujh par bar-haq nahin

Javed Shaheen

;

main marne ke liye paida nahin hua
mujh par kisi qism ka hamla

us muahide ki KHilaf-warzi hogi
jis par ek ghaibi hath aur main ne

dastaKHat kiye the
aur jis ki ru se

maut mujh par bar-haq nahin Thahri thi
zinda rahna ab mera dard-e-sar nahin

main ye fariza
tariKH ko saunp chuka hun

tariKH jo meri ragon mein
zahr ki surat daKHil hui

aur ab amrit ban kar
mere masamon se

qatra qatra Tapak rahi hai
maut se meri koi shanasai nahin

main us se darKHwast karunga
wo mere KHilaf

kisi sazish mein sharik na ho
ki mere pas

muahide ki jo naql mahfuz hai
us par us ke dastaKHat

ba-taur-e-gawah maujud hain