raat ke andhere mein
aaj phir dabe panw
sarsaraati sargoshi
phan uTha ke chalti hai
waqt ret ki manind
hath se phisalta hai
nind mujh se ruThi hai
bhuk raqs karti hai
pyas chubhne lagti hai
sans kyun aTakti hai
jhanko meri aankhon mein
aks dekh lo apna
aur mujhe ye batla do
kya tumhein khaTakta hai
kyun gurezan ho mujh se
kya mein bojh lagti hun
kyun machal si jati ho
hath bhi baDhati ho
phir pare khisakti ho
hath khol do mere
bhinch lo na sine mein
gal chhune do apne
gar nahin rahi kal main
lams to rahega na
ye sadaen kaisi hain
jin ki gunj se mere
kan sansanate hain
kis ki siskiyan hain ye
zindagi ki ya tum ho
maut to nahin na ye
maut gar nahin hai ye
aahaTen hain phir kis ki
kyun ghuTan ka pahra hai
kya mujhe janam de kar
tum ne maut banTi hai
Nazm
Maut kis ne banTi hai
Maimoona Abbas Khan