maut ne us ki aankhon mein aankhen Dalin
to use badan ka bosida libas hath mein thame
be-KHauf-o-KHatar
apne istiqbaal ke liye khaDa paya
wo sahm gai
us ki haibat mand paD gai
wo us ke qatilon ke pas gai
aur jo kuchh dekha tha unhen bata diya
wo samjhe ki maut un ke sath kisi sazish mein sharik ho gai thi
un ki tasalli ke liye
wo us ka bosida libas le aai
magar jate waqt nasihat kar gai
ki ise sambhaal kar rakhen
us din ke liye
jab mulk mein kapDe ka qaht paDega
aur un ke nange badan Dhanpne ke liye
kisi ke pas koi kapDa na hoga
us ek libas ke siwa
Nazm
Maut ki nasihat
Javed Shaheen