kaun aawara hawaon ka subuk-bar hujum
aah ehsas ki zanjir garan TuT gai
aur sarmaya-e-anfas pareshan na raha
mere sine mein ulajhne lagi fariyaad meri
phir nigahon pe umanD aaya hai tarik dhuan
TimTimana hai mere sath ye mayus charagh
aaj milta nahin afsos patangon ka nishan
mere sine mein ulajhne lagi fariyaad meri
TuT kar rah gai anfas ki zanjir-e-giran
toD Dalega ye kambaKHt makan ki diwar
aur main dab ke isi Dher mein rah jaunga
ji ulajhta hai meri jaan pe ban jaegi
thak gaya aaj shikari ki kaman TuT gai
lauT aaya hun bahut dur se KHali hathon
aaj ummid ka din bit gaya sham hui
main ne chaha bhi magar tum se mohabbat na hui
ki chuke ab to KHuda ke liye KHamosh raho
ek mauhum si KHwahish thi falak chhune ki
zang-alud mohabbat ko tujhe saunp diya
sard hathon se meri jaan mere honT na si
gar kabhi lauT ke aa jae wahi sanwli raat
KHushk aankhon mein jhalak aae na be-sud nami
zalzala uf ye dhamaka ye musalsal dastak
be-aman raat kabhi KHatm bhi hogi ki nahin
uf ye maghmum fazaon ka alamnak sukut
mere sine mein dabi jati hai aawaz meri
tirgi uf ye dhundlaka mere nazdik na aa
ye mere hath pe jalti hui kya chiz giri
aaj is ashk-e-nadamat ka koi mol nahin
aah ehsas ki zanjir-e-giran TuT gai
aur ye meri mohabbat bhi tujhe jo hai aziz
kal ye mazi ke ghane bojh mein dab jaegi
kaun aaya hai zara ek nazar dekh to lo
kya KHabar waqt dabe panw chala aaya ho
zalzala uf ye dhamaka ye musalsal dastak
khaTkhaTata hai koi der se darwaze ko
uf ye maghmum fazaon ka alamnak sukut
kaun aaya hai zara ek nazar dekh to lo
toD Dalega ye kambaKHt makan ki diwar
aur main dab ke isi Dher mein rah jaunga
Nazm
Maut
Akhtar-ul-Iman