khet pyase hain
faza hanpti hai
ja-ba-ja ukhDi jaDen chaTti ek gae
ke sukhe hue maTiyale khuron ki manind
phaT gai hai jo zamin
us mein ugi jhaDiyan
be-barg-o-samar rahti hain
mausam ho koi
kisi falij-zada bimar ke akDe hue panje ki tarah
Tahniyan soe falak dekhti fariyaad-kunan hain kab se
mahz fariyaad se ai dost magar kya hoga
joDta rahta hai mausam ki wirasat se dilon ko
jo kisi mez-numa shai ye kai din se paDa
chae-KHane ka phaTa sa aKHbar
ek nazar aao ise dekh to len
haal aisa hai ki ab jo bhi ho achchha hoga
Nazm
Mausam ki wirasat
Shaheen Gazipuri