yun rag o pai mein ajal utri hai
hath sakit hain dua kya mangen
aankh KHamosh hai, kya dekhegi
honT KHwabida hain kya bolenge
ek sannaTa abad-taba-abad
johd-e-yak-umr ka hasil Thahre
dard ka shola rag-e-jaan ka lahu
jins-e-be-maya the be-maya rahe
tera KHak un ki KHaridar bane
nikhat-e-gul ki tarah aawara
bu-e-jaan wusat-e-afaq mein gum
yak kaf-e-KHak hai wo bhi kab tak?
subh ki os se aankhen dho lo
kamre se jhank ke bahar dekho
aise masruf tag-o-taz hain sab
jaise kal un ke muqaddar mein nahin
main tamashai hun har manzar ka
jaise kal mere muqaddar mein nahin
Nazm
Marne wale ke kamre mein
Mahmood Ayaz