main agar KHak
to hai aab meri
tu hai tabir
main hun KHwab tera
tu agar aag
main hawa ka shor
tu zamin meri
main tera aakash
main tera jism
tu hai ruh meri
ishq mera hai reg-zaron sa
husn tera hai aabshaaron sa
to himala ki pur-faza wadi
main samundar ki tarah aazadi
aur kis kis tarah se kya bolun
ain fitrat ke raaz kya kholun
ye man o tu ka farq hi shayad
hum se leta hai imtihan jaanan
aaKHiri ye fasil gir jae
phir to hai wasl-e-jawedan jaanan
ek fana apni ibtida jaanan
ek fana apni intiha jaanan
Nazm
Man tu shudam tu man shudi
Khursheed Akbar