اردو हिंदी
MakDi | Shaahi Shayari
makDi

Nazm

MakDi

Ibn-e-Mufti

;

agar makDi dikhai de
to Darti hai meri beTi

baDa hi KHauf khati hai
taqaza mujh se karti hai

ki us ko mar Dalun mein
magar kuchh soch kar yaro

uTha leta hun main us ko
aur bahar chhoD aata hun

yahi makDi thi ki jis ne
wo ghaar-e-saur mein jala

tha kuchh aise bana Dala
ki dushman bhi pahunch kar wan

nahin un tak pahunch pae
baDa ehsan hai makDi ka

musalmanan-e-alam par
yahi kuchh soch kar yaro

uTha leta hun main us ko
aur bahar chhoD aata hun