teri chashm-e-mai gun ka labrez saghar
jawani teri kaif-awar jawani
gulistan dar aaghosh-e-husn-e-tabassum
wo tere lab-e-surKH ki gul-fishani
takallum ke andaz KHamoshiyon mein
zaban-e-nazar par haya ki kahani
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo sanson ki tezi wo sine ki dhaDkan
wo donon ka chhup-chhup ke aansu bahana
wo tajdid-e-ulfat ke sau-sau bahane
wo ek dusre se yun hi ruTh jaana
wo tark-e-mohabbat ke ilzam de kar
kisi ka kisi ko hansi mein rulana
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo pas-e-adab wo KHulus-e-mohabbat
wafur-e-tamanna mein KHamosh rahna
wo nazzargi mein tahayyur ka aalam
KHud apni nigahon se KHamosh rahna
raza-ju-tabiat wo talim-koshi
gham-o-ranj mein bhi wafa-kosh rahna
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
sawalon ka tumar mubham zaban mein
magar raaz-e-dil ka na izhaar karna
nigahen milane mein to ek jhijhak si
magar dil hi dil mein mujhe pyar karna
wo arz-e-mohabbat pe masum wade
wo luknat zaban ki wo iqrar karna
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
teri chashm-e-pur-nam wo masud saat
yaqin ban gaya jab guman-e-mohabbat
mohabbat ke din aur wo furqat ki raaten
duaen thin jab tarjuman-e-mohabbat
wo KHat jin ka har lafz ek dastan tha
wo jazbaat se pur-bayan-e-mohabbat
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo chhiTki hui chandni ki bahaaren
wo gul-posh raaten wo dilkash nazare
manazir simaTte hue aabju mein
falak par chamakte hue chand tare
wo thak kar kisi ka yun hi baiTh jaana
wo uThna kisi ka kisi ke sahaare
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo tufan-e-jazbaat-o-zor-e-tamanna
wo josh-e-mohabbat wo pur-shauq baaten
wo ghaDiyan wo aaram-o-rahat ki ghaDiyan
wo farhat ke din wo masarrat ki raaten
wo ghaten wo ghaton ke parde mein wade
wo wade wo wadon ke parde mein ghaten
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
maal-e-masarrat wo majbur aansu
wo kaif-e-tarb ka gham-anjam hona
pur-ilzam baaten wo sab ki zaban par
mohabbat ke qisse ka wo aam hona
wo bargashta-KHatir buzurgon ki baaten
wo masum ruhon ka badnam hona
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
wo din tafraqa-KHez majburiyon ka
fareb-e-muqaddar ki wo chira-dasti
KHumar-e-mai aish aur na-muradi
wo marg-e-tamanna wo anjam-e-masti
rusum-e-kuhan ki sitam-afrini
zamane ka jaur-e-qadamat-parasti
tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun
Nazm
Main kyun bhul jaun
Arsh Malsiyani