اردو हिंदी
Main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun | Shaahi Shayari
main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun

Nazm

Main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun

Meeraji

;

main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun
zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein

taKHayyul ka baDa sagar tasawwur ke hasin jhonke
liye aate hain barish mein tamannaen ibaadat ki

magar puri nahin hoti tamanna dil ki chahat ki
kisi aurat ka pairahan kisi KHalwat ki KHushbuen

kisi ek lafz-e-be-mani ki miThi miThi sargoshi
yahi chizen mere ghamgin KHayalon par hamesha chhai rahti hain

ibaadat ka tariqa harkaten hain tishna o mubham
kabhi ruh-e-sanam bedar KHwab-e-marg-e-muhmal se nahin

kisi indar-sabha ki lakh pariyan aa ke bahlaen
lubhate nach nachen aur rasile rag bhi gaen

magar ye murda-dil aadi hai bas ghamgin KHayalon ka
ghaTa aati nahin KHushiyon ki barish la nahin sakti

meri ruh-e-hazin mahkum hai apne tassur ki
zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein

main jinsi khel ko kyun ek tan-asani samajhta hun
kabhi insan ki umr-e-muKHtasar par ghaur karta hun

kabhi fani tamannaon ki jhilon mein yunhi khoya sa phirta hun