main gautam nahin hun
magar main bhi jab ghar se nikla tha
ye sochta tha
ki main apne hi aap ko
DhunDne ja raha hun
kisi peD ki chhanw mein
main bhi baiThunga
ek din mujhe bhi
koi gyan hoga
magar jism ki aag
jo ghar se le kar chala tha
sulagti rahi
ghar se bahar hawa tez thi
aur bhi ye bhaDakti rahi
ek ek peD jal kar hua rakh
main aise sahra mein ab phir raha hun
jahan main hi main hun
jahan mera saya hai
sae ka saya hai
aur dur tak
bas KHala hi KHala hai
Nazm
Main gautam nahin hun
Khalilur Rahman Azmi