اردو हिंदी
Main aur baadal | Shaahi Shayari
main aur baadal

Nazm

Main aur baadal

Muneer Niyazi

;

sham ka baadal nae nae andaz dikhaya karta hai
kabhi wo nanha bachcha ban kar mere samne aata hai

kabhi wo apna KHun baha kar mere ji ko Daraata hai
kabhi kisi hansmukh aurat ki tarah mujhe bahlata hai

phir aankhon se ishaara kar ke kamre mein chhup jata hai
isi tarah wo nae nae andaz dikhaya karta hai

jab koi us ko ghur ke dekhe naz dikhaya karta hai