KHayal shaitan ki aant ki tarah umudi
duri ke maidan mein khaDa hai
doston ke haj ka zamana
un ke gird tawaf karta rahta hai
bahte pani mein hath Dubo kar
tumhein chhu leta hun
shisham ke peD pe faKHta
bolti rahti hai
mere pas sirf mera rasta hai
jis se main anjaan hun
dhup ke khel mein
sayon se nahin ulajhna chahiye
Nazm
Maidan
Husain Abid