mai-shikasta-dili ai harif-e-zauq-e-numu
kisi guzishta sadi ke utaq-e-viran se
na Dal aur mere dil pe saya-e-gesu
wo ankabut jo tar-e-nafas mein jite hain
na jaane kaise dar aae hain teri mahfil mein
ki KHun ye bhi tere rat-jagon ka pite hain
main jaanta hun kise mil saki kise na mili
wo gul-sarae bahisht-e-afrin magar phir bhi
mujhe nahufta na rakh ai mai-e-shikasta-dili
mere zuhur mein kuchh mumkinat mere hain
main dekh panw agar tujh se is ufuq se pare
to phir ye sare daraKHshan jihat mere hain

Nazm
Mai-shikasta-dili ai harif-e-zauq-e-numu
Aslam Ansari