اردو हिंदी
Mazarat | Shaahi Shayari
mazarat

Nazm

Mazarat

Riyaz Latif

;

mujhe muaf karna
hawaon ke pur-soz chehro

ki main ne tumhaare falak-dar-falak tewaron ka sarab bhi paya nahin hai
mujhe muaf karna sitaron ke sayo

tumhaari siyahi ke bosida nuqton mein Dhalne se ab tak main qasir raha hun
ghayabon ki nazron se tanha baha hun

mujhe muaf karna mohabbat ke hamil sarabo
ki banhon mein aa kar basa hun tumhaari

samundar ki ujDi sadaon ki surat
kise DhunDti hai meri be-zabani

mujhe muaf karna abhi tak main ye jaan paya nahin hun
mujhe muaf karna abad ke salasil mein jakDi hui sari chizo

ki main waqt ki bund mein pyas ki tarah boya gaya hun
zamanon ki aankhon se roya gaya hun

main manzar kisi lamha mawara ka
main ham-asr hun titliyon ke paron ka

hawa ka
KHuda