na jaane kyun
mujhe aksar guman hota hai
mah-e-tamam faqat dekhta nahin hai hamein
wo jabr-o-qaid-e-musalsal pe ek mashaqqat ki
hazaron sal se is be-karan masafat ki
bisat-e-waqt ki
ek dastan sunata hai
samajh saken to
bahut kuchh hamein batata hai

Nazm
Mah-e-tamam
Naeem Zarrar Ahmad