main ne jab bhi palaT ke dekha hai
dhund kuchh aaine se chhuTi hai
aks kuchh aaine mein ubhre hain
main ne dekha hai ek shikasta par
zindagi se tamam-tar aari
jaise mazi ho! ahd-e-rafta ho
ek na-sufta gauhar-e-shaffaf
jaise ek aaftab-e-taza ho
roz-e-ainda, roz-e-farda ho
ek shahin-e-mawara se pare
ek nikhri hui faza-e-basit
haal ho jaise ahd-e-hazir ho!
dhund phir aaine se lipTi hai
aks dhundla sa main ne dekha hai
pech-dar-pech jal makDi ka!
ujla ujla sa, wo rupahla sa
jis ke taron mein maut pinhan hai
ek makkhi hai nim-jaan majbur
jaane kis daur ka ye KHaka hai!
jaane kis daur ke tasawwur se
dil mera kanp kanp jata hai
Nazm
Maal
Raj Narayan Raaz