اردو हिंदी
Lekin | Shaahi Shayari
lekin

Nazm

Lekin

Adil Mansuri

;

kali ainak lagae ghumte rahna suraj mein saDkon par hoTalon mein
theateron mein masjidon mein dukanon mein railway platform par

bhaTiyar galiyon mein shamil hona bujhe bujhe chehron wali bhiD mein takte rahna
safed diwaron ko akele layani hai sab kuchh aur jo dikhai deta hai

wo nahin hai phir bhi dikhai deta hai koi farq nahin paDta panw hain juraben
na hone se life aur Time na paDhne se yahi kya kam hai ki subh se

sham tak jama karte hain lafzon ko radio sunte hain aur dekhte hain mere
hue kabutar ki aankh school se lauTte hue bachche sharab ki jhil mein tairte

shikare pachas se kam sher ki ghazal nahin likhte firaq aaj bhi qabaili
kamar se bandhe phirte hain chaalen gaz ki shalwar kya hota hai nam se

ya sher kahne se ya din-bhar unghte rahne se ya kitaben sunghne se
tash khelne ka maza hi aur hai ahamadabaad ho ya lahore har jagah hota hai

suraj ghar baiThe ganga hai bhai congress mein phuT paDe ya sat
hazar insan mar diye jaen bhuke uThte hain har subh bistar se kisi ne

dekhe hain baiket aur picasso kabaDDi ke maidan mein ya gambarsong ko
istiri karte hue nickson se le kar murar-ji tak koi bhi rok na saka

chhink aur khansi ab aankhen khol dijiye hazrat dekhiye pura
america chhink raha hai khans raha hai idhar dekhiye ye hindostan

bhi chhik raha hai khans raha hai khans raha hai chhik raha hai
kahan se shurua hui hai tariKH aur kahan ja kar rukna hai logon ko

udas rahti hain hamila aurten bas aur cinema ki qatar mein gher rakkhi hai
zamin bhikariyon ne aur mangao charas aur ganja phir bhi alag karna mushkil

hai purani ko new-delhi se lashon ko dekh kar mahfuz nahin hote tum kaise
aadmi ho kahan gain wo tawaifen kahan gae wo qawwal mani to har lafz

mein maujud hai lekin