sab jhuT bolte hain
main jab man ke peT mein tha tab bhi jhuT nahin bolta tha
main ne man ke peT mein
taza taza garm surKH KHun piya tha
paidaish ke baad safed gaDha ThanDa KHun mujhe mila
jab se main musalsal KHun pi raha hun
main ne bachpan se laDakpan tak
laDakpan se jawani tak
bar-ha is KHun ka zaiqa chakha hai
main is ke baghair zinda nahin rah sakta
is ke marne se
mera tamam jism aashna hai
aksar jab mere jism par koi zaKHm lagta hai to
be-saKHta zaban is taraf lapakti hai
aur mujhe
wahi zaiqa yaad aane lagta hai
jo main ne pahli bar
man ke peT mein chakha tha
Nazm
Lahu ka zaiqa
Khalid Ghani