kya koi KHabar aae
zindagi ke tarkash mein
jitne tir baqi the
meri be-dhyani se
dil ki KHush-gumani se
saz baz karte hi
ruh mein utar aae
dhund itni gahri hai
kuchh pata nahin chalta
KHwab ke taaqub mein
kaun se zamanon se
kitne aasmanon se
hum guzar ke ghar aae
fasl-e-gul ki baaten bhi
ab kahan rahen mumkin
umr ki kahani mein
aisi be-zamini mein
aisi la-makani mein
sirf itna mumkin hai
dhaDkanon ki ginti mein
agla moD muDte hi
aaKHiri safar aae
Nazm
Koi zindagi thi guman si
Nahid Qamar