mein wo kashti hun kabhi jis ko kinara na mila
le liya apni jawani ka sahaara main ne
jab mujhe qaum ke hathon ka sahaara na mila
ho ke majbur jahannam ko basaya main ne
jab mujhe mandir-o-masjid mein Thikana na mila
kal hiqarat se jo kahte the bhikaran mujh ko
aaj kahte hain ki gulshan mein naya phul khila
koi samjha na meri ruh ko KHamosh pukar
sab samajhte rahe chalta ho sikka mujh ko
chand lamhe to guzar jaenge achchhe-KHase
jis ne dekha usi andaz se dekha mujh ko
khelti hai meri rag rag se ye papi duniya
de ke kaghaz ke khilaune mujhe bahlati hai
meri majruh jawani ki shikasta kashti
kitne biphre hue tufanon se Takraati hai
meri aaghosh ko firdaus samajhne walo
tum ko malum hai kis tarah se main jitni hun
chand chandi ke khanakte hue sakun ke tale
raat phir apni jawani ka lahu piti hun
gandi nali mein use phenk diya jaega
wo kali jo abhi masum hai be-parwa hai
meri bachchi meri bachchi bhi tawaif hogi
sanp ki tarah ye ehsas mujhe dasta hai
kal kisi qaum ke KHadim ne sahaara na diya
aaj kis munh se ye kahte ho ki bad-kar hun main
main tumhaare hi to kirdar ka aaina hun
kaun kahta hai ki papi hun gunahgar hun main
Nazm
Koi rahbar koi sathi koi apna na mila
Waqif rae Barelvi