lal pili nili nili aur hari
KHwahishon ki jaane kitni machhliyan
tairti rahti hain mere jar mein
aur jab un mein se koi yak-ba-yak
ek tamanna ban ke bahar kudti hain
saf-suthre farsh pe dam toDti hai
Nazm
KHwahish se tamanna tak
Malik Ehsan

