sae sae jale jale KHamoshi KHamoshi si
TuTi TuTi uljhi uljhi be-KHwabi be-KHwabi si
harfon se bachta bachta mani se chhupta chhupta
rangon mein Duba Duba sanson mein ubhra ubhra
zarron mein chamka chamka lahron mein sahma sahma
tez hawa ke jhonkon mein ruk ruk kar uDta uDta
nashtar zahr mohabbat dard KHun ke ek ek qatre mein
rah rah kar chubhta chubhta
kya hai ye
kaun hai ye
aansu ret bane kaise palkon pe chamke kaise
har manzil par lahraata hai kab se zard pharera kaun
TuTe aadarshon ke shishe ginta hai wo baiTha kaun
mere har izhaar mein pinhan be-mani KHamosh kyun
mere thak ke so jaane mein KHwabon mein bechaini kyun
mere baam se uD jata hai qatra qatra nasha kyun
ye roz-o-shab sare lamhe nanhe nanhe TukDe TukDe
rag rag mein paiwast hue KHun bane dard bane
ek muddat se subh-e-azal se
meri ruh mein kaun chhupa hai
kaun chhupa hai
Nazm
KHauf
Baqar Mehdi