kaisi KHamoshi hai virani hai sannaTa hai
koi aahaT hai na aawaz na koi dhaDkan
dil hai ya qabr sulagti hui tanhai ki
zehan hai ya kisi bewa ka akela aangan
uD gaya rang har ek soch ke aaine ka
shab ke be-nur dupaTTe se sitare TuTe
jam gai gard KHayalon ki hasin rahon par
muddaten ho gain ummid ka daman chhuTe
yak-ba-yak dur bahut dur bahut dur kahin
teri pazeb chhanakne ki sada aane lagi
shauq ne panw baDhae usi aawaz ki samt
tujh se milne ki lagan aur bhi taDpane lagi
ye khanDar aaj jahan raat ki tariki mein
tu ne bhule hue afsane ko dohraya hai
isi ujDe hue viran khanDar mein ki jahan
kitne din baad tera saya nazar aaya hai
isi ujDe hue viran khanDar mein hum ne
umr bhar sath nibhane ki qasam khai thi
isi ujDe hue viran khanDar mein tere
thartharaate hue honTon pe dua aai thi
rasm koi ho magar hum ko juda kar na sake
ye riwayat na pahnaen kabhi zanjiren
hum ki is raaz se is baat se na-waqif the
ki duaon se badalti hi nahin taqdiren
lekin ab rasm koi kuchh na kahegi mujh se
ab riwayat ko majbur kiya hai main ne
ab na rokega meri rah zamana baDh kar
jo bhi anjam ho ye soch liya hai main ne
main muqaddar se gale mil ke nahin ro sakta
tujh ko pana mera maqsad hai tujhe paunga
aaj Thukra ke har ek maslahat-andeshi ko
tere sae ke taaqub mein chala jaunga
Nazm
KhanDar
Kafeel Aazar Amrohvi