(sachche logon ke nam)
ajib man ho
tum apne bachchon ko marti ho
to is KHata par
ki wo hukumat ki wahshaton ke KHilaf nikle
julus ke sath ja rahe the
tum ab pareshan ho rahi ho
main aane wali ghaDi ke bare mein sochta hun
jab ek mausam kai kai sal tak rahega
tum apne hathon se mere shane hila hila kar kahogi
bahar nikal ke un kafiron ko roko
jo apne jismon mein andha hijaan bhar ke
saDkon pe chiKHte hain
rabb-e-mausam
july sar pe hai aur kohra
hamare jismon mein
aur faslon ke rongTon mein utar raha hai
hamein july mein january ki fazaen manzur kis tarah hon
hamare zehnon mein
rut ki tabdiliyon ke KHake bane hue hain
ab tum pareshan ho rahi ho
main guzre waqton ki aahaTen sun raha hun
jab main ne ye kaha tha
ki bachche tum pe gae to aaram se rahenge
magar jo warse mein meri sochen milen
to wada karo ye shikwa nahin karogi
ki mere bachche
jinhen kai mah main ne apna lahu diya tha
wo us lahu ko
ujaD saDkon ke munh pe malne pe tul gae hain
Nazm
KHake
Waheed Ahmad