اردو हिंदी
Kalpana | Shaahi Shayari
kalpana

Nazm

Kalpana

Muneer Niyazi

;

raat hai kitni gahri kali
dukh ki baat sujhane wali

dur dur ki aawazon ko
ujDe gharon mein lane wali

sar par hai ghanghor badriya
dil mein lagan piritam ke milan ki

shor machati baDhti aae
tez hawa sune madhuban ki

chaDhta sagar rasta roke
bairan bijli ji ko Darae

dur bahut hai pi ki nagariya
hum se to ab chala na jae