ghubar-e-sham ke be-aks manzar mein hawa ki saen saen
panchhiyon ko hankti hai
dur charwahe ki bansi mein milan-ras ka surila zaiqa hai,
raat raste mein
kahan se tum mujhe aawaz deti ho!
musalsal aahaTen meri samaat hi na le jaen
bacha rakkhe hue aansu ki binai Tapakti hai
inhin lafzon ki lau mein raat kaTti hai jinhen aankhon ne taswir
shab-e-wada ki sangini riwayat hai
mere imroz ke chulhe mein bhi ab tak wahi indhan
bhaDakta hai
agar aawaz-e-riwayat hun
agar aawaz deti ho
to aao subh ke sahil ko chalte hain
lahu mein kasmasate qahqahe honTon tak aane do
mujhe bhi muskurane do

Nazm
Kahin se tum mujhe aawaz deti ho
Tabish Kamal