kahin kuchh nahin hota
na aasman TuTta hai
na zamin bikharti hai
har chiz apni apni jagah Thahar gai hai
mah o sal
shab o roz
barf ki tarah jam gae hain
ab kahin ajnabi qadmon ki chap se
koi darwaza nahin khulta
na kahin kisi jadui charagh se
koi pariyon ka mahal tamir hota hai
na kahin barish hoti hai
na shahr jalta hai
kahin kuchh nahin hota
ab hamesha ek hi mausam rahta hai
na nae phul khilte hain
na kahin patjhaD hota hai
kheton aur khaliyanon se
saje hue bazaron tak
nae mausam ke intizar mein
log chup-chap khaDe hain
na kahin koi kunwari hansti hai
na kahin koi bachcha rota hai
kahin kuchh nahin hota
raston par aur ufuq bikhar gae hain
aur kitabon pe dhul
dimaghon mein jale hain
aur dilon mein KHauf
galiyon mein dhuan hai
aur gharon mein bhuk
ab na koi jangal jangal bhaTakta hai
na koi patthar kaT kaT kar nahren nikalta hai
kahin kuchh nahin hota
Nazm
Kahin kuchh nahin hota
Shahid Mahuli