kuchh na kahna bhi bahut kahna hai
lafz sine mein hi ruk jaen to phir baat kahan hoti hai
lekin alfaz ke atraf jo wo
ek chashm-e-nigaran hoti hai
usi chashm-e-nigaran ke sadqe
aankh agar KHushk nazar aae bahut roti hai
zindagi KHwab hai taswir teri suti hai
KHwab tha ya aalam-e-bedari tha
teri taswir thi ya tu, tujhe kab dekha tha
ab to kuchh yaad nahin aata hai sadiyan guzrin
han magar ye ki tera nam liye
KHushk aaankhon ke kinare kai nadiyan guzrin
Nazm
Kahi an-kahi
Mushaf Iqbal Tausifi