kahaniyan tamam shab
tamam shab kahaniyan
bujhe hue charagh ne udas raat se kahi
udas raat ne likhin
tamam shab kahaniyan
uruj ki bisat par zawal ki kahaniyan
kahaniyan tamam shab
wo jism ya azab hai
wo aankh ya kitab hai
wo honT ya gulab hai
kitab mein azab ki
gulab ki kahaniyan
tamam shab kahaniyan
kahaniyan tamam shab

Nazm
Kahaniyan tamam shab
Mushaf Iqbal Tausifi