zamin pahle aisi kabhi bhi na thi
panw miTTi pe hote the
nazren ufuq par
hamein apne bare mein malum hota tha
hum kaun hain
aur kya kar rahe hain
kahan ja rahe hain
magar aaj aalam ye hai
panw rukte nahin
aankh khulti nahin
ajnabi raston par
main baDhta chala ja raha hun
Nazm
Kahan ja raha hun
Paigham Aafaqi