tamam KHwabon ki aankhen
adhure fasane ke aaKHiri git ko
tumhaari aankhon se sunna chahengi
dard fasurda raaton ke zard chehre
tumhaari parchhaiyon mein panah DhunDenge
raushan yaadon ke murda murjhae badan
kanch ki moTi dhundli diwar mein dafn rahenge
ummidon ke janaze roz uThenge
chiKHon ke halq se zabanen khinch li jaengi
aahon ke qad kaTwa diye jaenge
tumhein purkarungi bhi to kaise
magar ta-umr ye nazren tumhein DhunDengi
Nazm
Judai
Varsha Gorchhia