waqt ne puchha
kya tum mujh ko jaante ho
han
kya tum mujh ko mante ho
nan
kya matlab hai
kya matlab tha
waqt bhi chup hai
jaane wo kab kya bolega
aaj ki kitni baaton ko bhi
kaise kaise badalne wale
bante bante gham se KHushi se aur hairat se
apni aankhen malne wale
mizanon mein DanDi mar ke ya sachchai se taulega
aur phir main bhi chup na rahunga
lekin
jo is waqt mujhe bhi kahna lazim ho
wo kah na sakunga
shayad wo sab sah na sakunga
han bhai le is lamhe main tujh ko manta bhi hun
ab ye chhoD ki jaanta bhi hun
jo tu chahe aaj bata de
warna mujh ko abhi bhula de
kaun ab kya kya kis ko sikhae
jo bole wo mara jae
ai 'mira-ji' aap ko to sab bhul gae hain
aap yahan aur mujh jaise matub-e-zaman ko aaKHir ik-dam kyun yaad aae
Nazm
Jo bole mara jae
Jameeluddin Aali