اردو हिंदी
Jism ki kashti mein aa | Shaahi Shayari
jism ki kashti mein aa

Nazm

Jism ki kashti mein aa

Shahryar

;

hawa ke panw is zine talak aae the lagta hai
diye ki lau pe ye bosa usi ka hai

meri gardan se sine tak
KHarashon ki lakiron ka ye gul-dasta

tilismi qufl khulne ki isi saat ki KHatir
hijr ke mausam guzare hain

hawa ne muddaton mein panw pani mein utare hain
meri pisli se paida ho

wahi gandum ki bu le kar
zamin aur aasman ki wusaten

mujh mein simaT aaen
uluhi lazzat-e-nayab se sarshaar kar mujh ko

main ek pyasa samundar hun
tu apni jism ki kashti mein aa

aur par kar mujh ko