yahan daraKHt ke upar uga hua hai daraKHt
zamin tang hai (jaise kabhi faraKH na thi)
hawa ka kal paDa hai, nami bhi aam nahin
samundaron ko bilo kar fazaon ko math kar
janam diye hain agar chand abr ke TukDe
jhapaT liya hai unhen yun daraaz shaKHon ne
ki nim-jaan tane ko zara KHabar na hui
jaDen bhi KHak tale ek hi lagan mein rawan
na tirgi se mafar hai, na raushni ka sawal
zamin mein panw dhanse hain faza mein hat buland
nai jihat ka lage ab daraKHt mein paiwand
Nazm
Jihat ki talash
Shakeb Jalali