jabin-e-zist pe marqum hai meri aawaz
ki tu ne zinda kiye husn-o-ishq ke eajaz
badal badal ke teri dhaDkanon ko nam mila
kabhi nawa-e-haqiqat nawa-e-majaz
teri sada-e-mohabbat ne fash kar Dala
wo raaz-e-hashr jo rakhta hai ek mahshar-e-raaz
nishan-e-rah kahin zindagi ke naqsh-e-qadam
kahin hayat ke raunde hue nasheb-o-faraaz
kabhi to ashk mein KHun-e-jigar ka rang-e-hayat
kabhi to aah mein dil ki dabi hui aawaz
nazar nazar mein bahaar-e-nigah naghma-e-ba-dosh
nafas nafas mein ek ehsa-e-dard naghma-taraaz
bahakti sham mein taron ka raqs rindana
rupahli subh ka kaliyon se wo jamil andaz
wo phul phul pe shabnam ki zindagi manzum
wo jharne jharne mein khoe hue se naghma-o-saz
bahakti sham mein taron ka raqs-e-rindana
rupahli-subh ka kaliyon se wo jamil andaz
wo phul phul pe shabnam ki zindagi manzum
wo jharne jharne mein khoe hue se naghma-o-saz
wo roz-e-abr mein kaif-o-nashat ki barish
hasin chandni raaton ka wo latif gudaz
teri nigah ne aisi nazakaten pain
ki husn KHud hi pukara ki main hun ishq ka raaz
abhi fazaon mein raqsan hai ban ke naghma-e-shauq
KHayal ki wo bulandi-e-nazar ki wo parwaz
mata-e-soz hai KHurshid-o-mah mein ab tak
jo tu ne chheDa tha fikr-o-nishat ka ek saz
teri latif sadaon ki gunj hai ab tak
abhi hain zohra-o-nahid gosh-bar-awaz
Nazm
Siraj aurang-abaadi
Maikash Akbarabadi