jab tez bhuk lagi ho
main apne jism se khelna shurua kar deta hun
bahut sada sa khel hai ye
is khel mein hamara dil
baDi aasani se
ek phuli hui chapati mein tabdil ho jata hai
aur hamara jism
nokile danton ki ek qatar mein
shayad aap kabhi is tajrabe se nahin guzre
shayad kabhi aap ki aanten ainTh kar dohri nahin huin
shayad kabhi bhuk se niDhaal ho kar
aap ke kisi dant ki nok
aap ke apne honT mein paiwast nahin hui
shayad aap ki zaban ne
apne KHun ka zaiqa nahin chakha
ye baaten aap ke liye ajib hain
shayad na-qabil-e-yaqin bhi
lekin baDi aasani se har baat samajh aa jati hai
jab aadmi bhuka ho
itna bhuka
ki ye andaza lagane ke qabil hi na rahe
ki wo
roTi ki phuli hui chapati hai
ya bhuk
Nazm
Jab tez bhuk lagi ho
Saeeduddin