jab hum pahli bar mile the
mausam kitna ujla tha
main tha ek aazad parinda
nil-gagan mein uDne wala
tum bhi itne umr-rasida kab the
baalon mein ye chandi kab thi
lahje mein khanak aankhon mein chamak thi
baat baat par zor se hansna
aadat mein bhi shamil tha
sab ke dukh sukh ka hissa ban jaana
fitrat mein bhi shamil tha
lekin ab aisa lagta hai
tum se bichhaDne ka pal
shayad aa pahuncha hai
tum se bichhaD kar kal main jab
is moD pe phir wapas aaunga
sare raste sab diwaren aur darwaze
mujh se mere sath ke bare mein puchhenge
ram-narayan aur kedar bhi
phir ye raaz na kholenge
aur meri aankhon mein sara manzar
dhundla dhundla ho jaega
lekin main bite lamhon se
phir us ko ujla kar lunga
aur phir yaad mujhe aaega
jab hum pahli bar mile the
mausam bilkul aisa hi tha
Nazm
Jab hum pahli bar mile the
Farooq Bakshi