mu-qalam, saz gul-e-taza thirakte panw
baat kahne ke bahane hain bahut
aadmi kis se magar baat kare?
baat jab hila-e-taqrib-e-mulaqat na ho
aur rasai ki hamesha se hai kotah-kamand
baat ki ghayat-e-ghayat na ho!
ek zarra kaf-e-KHakistar ka
sharar-e-jasta ke manind kabhi
kisi an-jaani tamanna ki KHalish se masrur
apne sine ke dahakte hue tannur ki lau se majbur
ek zarra ki hamesha se hai KHud se mahjur
kabhi nairang-e-sada ban ke jhalak uThta hai
aab o rang o KHat o mehrab ka paiwand kabhi
aur banta hai maani ka KHudawand kabhi
wo KHudawand jo pa-basta-e-anat na ho!
isi ek zarre ki tabani se
kisi soe hue raqqas ke dast-o-pa mein
kanp uThte hain mah-o-sal ke nile girdab
isi ek zarre ki hairani se
sher ban jate hain ek kuza-gar-e-pir ke KHwab
isi ek zarra-e-la-fani se
KHisht-e-be-maya ko milta hai dawam
baam-o-dar ko wo sahar jis ki kabhi raat na ho!
aadmi kis se magar baat kare?
mu-qalam, saz gul-e-taza thirakte panw
aadmi sochta rah jata hai,
is qadar bar kahan, kis ke liye, kaise uThaun
aur phir kis ke liye baat karun?
Nazm
Izhaar aur rasai
Noon Meem Rashid