marg-e-israfil par aansu bahao
wo KHudaon ka muqarrab wo KHudawand-e-kalam
saut-e-insani ki ruh-e-jawedan
aasmanon ki nida-e-be-karan
aaj sakit misl-e-harf-e-na-tamam
marg-e-israfil par aansu bahao
aao israfil ke is KHwab-e-be-hangam par aansu bahaen
aaramida hai wo yun qarna ke pas
jaise tufan ne kinare par ugal Dala use
reg-e-sahil par chamakti dhup mein chup chap
apne sur ke pahlu mein wo KHwabida hai
us ki dastar us ke gesu us ki rish
kaise KHak-aluda hain
the kabhi jin ki tahen bud-o-nabud
kaise is ka sur is ke lab se dur
apni chiKHon apni fariyaadon mein gum
jhilmila uThte the jis se dair-o-zud
marg-e-israfil par aansu bahao
wo mujassam hamhama tha wo mujassam zamzama
wo azal se ta abad phaili hui ghaibi sadaon ka nishan
marg-e-israfil se
halqa dar halqa farishte nauha gar
ibn-e-adam zulf-dar-KHak-o-nazar
hazrat-e-yazdan ki aankhen gham se tar
aasmanon ki safir aati nahin
aalam-e-lahut se koi nafir aati nahin
marg-e-israfil se
is jahan par band aawazon ka rizq
mutribon ka rizq aur sazon ka rizq
ab mughanni kis tarah gaega aur gaega kya
sunne walon ke dilon ke tar chup
ab koi raqqas kya thirkega lahraega kya
bazm ke farsh-o-dar-o-diwar chup
ab KHatib-e-shahr farmaega kya
masjidon ke aastan-o-gumbad-o-minar chup
fikr ka sayyaad apna dam phailaega kya
tairan-e-manzil-o-kohsar chup
marg-e-israfil hai
gosh-e-shanwa ki lab-e-goya ki maut
chashm-e-bina ki dil-e-dana ki maut
thi isi ke dam se durweshon ki sari haw-hu
ahl-e-dil ki ahl-e-dil se guftugu
ahl-e-dil jo aaj gosha-gir-o-surma-dar-gulu
ab tana ta-hu bhi ghaeb aur ya-rab ha bhi gum
ab gali kuchon ki har aawa bhi gum
ye hamara aaKHiri malja bhi gum
marg-e-israfil se
is jahan ka waqt jaise so gaya pathra gaya
jaise koi sari aawazon ko yaksar kha gaya
aisi tanhai ki husn-e-tam yaad aata nahin
aisa sannaTa ki apna nam yaad aata nahin
marg-e-israfil se
dekhte rah jaenge duniya ke aamir bhi
zaban-bandi ke KHwab
jis mein majburon ki sargoshi to ho
us KHudawandi ke KHwab
Nazm
Israfil ki maut
Noon Meem Rashid