zamin pe patte bikhar rahe hain
KHunuk hua ke udas jhonke
gai ruton ki talash mein hain
KHizan-zada bagh-e-be-bahaaran
ye kah raha hai ki mujh ko dekho
ajib din hain ajib raaten
shikasta-pa be-nishan sawere
mera muqaddar hain bas andhere
na ab parinde shajar pe gate hain git koi
bas ek be-nam fasla hai
jo kohna peDon ke darmiyan hai
ye girte patton ki dastan hai
buland-o-baala daraKHt tanha
fasurda jangal ke darmiyan ab luTe khaDe hain
ki sare manzar sisak rahe hain
tamam jangal sukut-e-gham ke hisar mein hai
hamare hathon se mishal-e-KHwab kis ne chhini
hawa nahin hai to kaun mujrim hai, kuchh batao
ye sham patjhaD ki daimi to nahin hai 'nazish'
bahaar ki subh aane wali hai gham na karna
ummid ka jo diya jalaya hai, us ki lau ko
hawaon ke Dar se kam na karna
jo kulfaten hain jo wahshaten hain
ye zindagi ki haqiqaten hain
Nazm
Islam-abaad ki ek sham
Naseem Nazish