is zindagi ke badle
mujhe bana diya jata
baadalon se girti hui ek bund
kisi sukhi ghas ke gaTThar par
paDa hua ek tinka
ya
bahte hue pani ke aas-pas
jami hui kai
is zindagi ke badle
mujhe bana diya jata
ek raat se dusri raat tak
phaila hua be-maza zaiqa
ya
wo dana jis kisi parinde ki chonch se gir riha ho
is zindagi ke badle
mujhe diwar par phaile hue
silan-zada dhabbe mein badal diya jata
ya
pahaDon par Thahri hui barf
jo kisi ne na dekhi ho
ya
ek tabut jo kisi marne wale se
KHali kara liya gaya ho
Nazm
Is zindagi ke badle
Azra Abbas