insaf ka taraazu jo hath mein uThae
jurmon ko Thik tole
aisa na ho ki kal ka itihas-kar bole
mujrim se bhi ziyaada
munsif ne zulm Dhaya
kin pesh us ke aage gham ki gawahiyan bhi
rakkhin nazar ke aage dil ki tabahiyan bhi
us ko yaqin na aaya
insaf kar na paya
aur apne us amal se
bad-kar mujrmon ke napak hauslon ko
kuchh aur bhi baDhaya
insaf ka taraazu jo hath mein uThate
ye baat yaad rakkhe
sab munsifon se upar
Nazm
Insaf ka taraazu jo hath mein uThae
Sahir Ludhianvi