thoDi der ko sath rahe kisi dhundle shahr ke naqshe par
hath mein hath diye ghume kahin dur daraaz ke raste par
be-parda asthanon par dauDate hue giton ki tarah
ghusse mein kabhi laDte hue kabhi lipTe hue peDon ki tarah
apni apni rah chale phir aaKHir shab ke maidan mein
apne apne ghar ko jate do hairan bachchon ki tarah
Nazm
In logon se KHwabon mein milna hi achchha rahta hai
Muneer Niyazi