kamre mein balb 
aangan mein andhera 
aangan mein balb 
kamre mein andhera 
to phir is nuqta-e-nahufta ka tayyun 
ki jis nuqta-e-nahufta se 
andarun bhi raushan 
bairun bhi raushan 
aisi koi jagah hogi to sahi 
par mujhe is ka ilm nahin 
ilm nahin to justuju 
justuju-e-nuqta-e-nahufta
        Nazm
Impostor
Rais Farogh

