main bhi us hall mein baiTha tha
jahan parde pe ek film ke kirdar
zinda-jawed nazar aate the
un ki har baat baDi, soch baDi, karm baDe
un ka har ek amal
ek tamsil thi bas dekhne walon ke liye
main adakar tha us mein
tum adakara thin
apne mahbub ka jab hath pakaD kar tum ne
zindagi ek nazar mein bhar ke
us ke sine pe bas ek aansu se likh kar de di
kitne sachche the wo kirdar
jo parde par the
kitne farzi the wo do haal mein baiThe sae
Nazm
Images
Gulzar