safha-e-dil se tera nam miTane mein mujhe der lagi
puri ek umr ki der!
ashk-e-gham qatra-e-KHun aab-e-masarrat se
miTa kar dekha
rang-e-duniya bhi mila rang-e-tamanna bhi laga kar dekha
maktab-e-ishq mein jitne bhi sabaq yaad kiye
yaad rahe
arsa-e-zist mein KHwabon ke KHarabe the bahut
in KHarabon mein
KHayalon ke nagar jitne bhi aabaad kiye
yaad rahe!
gosha-e-ranj mein hangama-e-duniya se pare
kaun ek hijr ke shishe mein utarta tha
tere aks-e-dil-aram ke sath
kis ki ummid ke raste pe koi daera-e-nur na tha
kis ki mayus nigahon mein bikharte the
tamanna ke ujale bhi andheron ki tarah
roz-e-raushan mein bhi ho jati thi
kis dil ke mazafat mein raat,
tu ne jaana hi nahin
aur teri KHud-saKHta be-KHabari ko
qissa-e-dard sunane mein mujhe der lagi
aansuon se mera aaina-e-gham dhundlaya
ek sardaba-e-dauran mein jo poshida-o-nadida rahi thi
ab tak
is tan-e-zar ko wo zindagi hi bhul gai
dil se lipTi hui yak-rang udasi ke sabab
rang-o-ramish mein basi zinda-dili bhul gai
par teri shakl bhulane mein mujhe der lagi
puri ek umr ki der
umr
jo lamha-e-jaan ke siwa kuchh bhi na thi
umr jo teri tamanna ke siwa kuchh bhi na thi
bas wahi umr batane mein mujhe der lagi!

Nazm
Ek umr ki der
Sameena Raja